Restriction lagana Seekhein 2015 Trick urdu / hindi


Asslalam o Alaikum!!!!
sab say pehly main bata doon k main jab bhi kssi topic par bat krta hoon
to uss mein agar out of topic ka bhi koi word ajaye to main ussy bhi
define karta hoon.. iss liye dost yeh na samjhey k topic aur hai
aur ander bt ksi aur par.....let's start

May be kuch logoon ki iss topic ka pta ho i mean isss trick ka
so, jin ko nahi pta main IN SHA ALLAH un ko iss topic par itnaa
bata doon ga jitna mujhy ptaa hai.....
mery thread ka topic hai
apney pc par restriction kesy lagai jatiii hai
pehly tou ham samajhty hain restriction kya hoti hai

Restriction: isss ka matlb hota hai pabandi lagana or rokna
for example aap ka pc aik home use kay liye hai
aap iss pc k owner ho aur aap chahtey hoo k aap k ilawa jo bhi
ghar mein iss pc ko use krey main uss par apmi marzi say restriction
laga sakoon. matlb k main jiss par restriction lagau woo user usey
access na kar sakey
sooo main pehly aiik chhoti sii example deta hoon k aap ka
wo user app ki hard ki partition access na kar sakey
aur han yeh nahi k pori hard app chahey tou aik partition ya 2 bhi kar sakty hain
run par restriction lag sakti hai
CMD par restriction lag jati hai
yahan tak chhoti say chhoti chez par restriction lag jati hai
main aap ko method bata doon ga aur wo bhi detail k sath
but jis par restriction lagani hai wo aap ki require hai
ya ap par depend hai
SO,,,

app 'RUN' open krein aur yeh command dein
gpedit.msc
what is gpedit???
GPEDIT stand for group policy editor yeh windows mein aisii files hoti hai joh
reestriction lagati hai

ji to aap k samney aik window open ho gaiiii
ussss mein 2 box ho gein
1: computer configuration
2: USer configuration
ji ham nay no.1 use nahi karna yeh networking mein use hota hai

what is networking????
networking ka main aap ko chhota sa concept btata hoon
two or more computer connect with communication medium called networking
filhal hmara topic yeh nahi lekin i think aap ko phir bhi samajh agai
hogi k networking kya hai jin ko nahi pta

SO,,,,
ham nay no.2 user configuration par apna work karna hai
ji to uss mein next 3 tabs ho gi
1. software settings
2. windows seting
3. administrative templates
ham nay bad administrative templates par work karna hai
baki ka kam server par hota hai

what is server???
networking mein aik pc jo kay baki pc ko control karta hai
called server


ji...administrative templates ko open krein
aab uss mein bhi kuch tabs hain like
control panel, desktop , network. system. all settings
matlab inn mein restrictios lag sakti hain
malommat k liye inn mein bhi bohat tabs hain
for example:_
ham chahtey hain users 'run' ki tabs ko open na kar sakein
Start menu and taskbar
par jayein aur find krein k
remove run menu from start menu
iss par double click krein aap k samny aik window appear ho gi
uss k left side par 3 options ho gi
1. not configured
2. enabled
3. disabled
basically not configured aur disabled ka work same hota hain inn mein
ziyada diffrence nahi hota
by default not configuration par check hoga
aap restriciton k liye enable par click kr dein aur apple kar k ok kr dein
ab aap run ka tab open krein run open nahi hoga
iss tarah say ap hazaroooon restrictions laga sakty hain
joo app ko require hai wo find krein aur enable kr dein
Screen short bhi diya geya hai 

...
,,,
...
i think k aap ko meri samajh lag gai hogi
Note: kuch dost iss ko fazool sa work samjhey gein
but yeh boht kam ki cheiz hai bohat faida de gi
JAZAK ALLAH

[IMG][/IMG]
[IMG][/IMG]

Post a Comment

Please Select Embedded Mode To Show The Comment System.*

Previous Post Next Post